POETRY

1.

Raat Gehri hy,Dar b Sktay hain..Hum jo Kehte hain, Kr b Sktay hain..*Ap jo Roothe tu, Ye b nhi Socha,HAM tu Pagal hain, Mr b Sktay hain.

2.

Reh na pao ge kabi bula kar deko.Yaqin nhi ata to azma kar deko.Har jaga mehsus hogi hamari kami.Apni suni mehflon ko kitna b saja kar deko

3.

Meri wafa bhi silla mangge tumse Tum mujhko bhi chahho main jitna chahoon Kissi k dil main na ho essi chahat Koi kissi ko na chahe Main tumhain itna chahhon

4.

Kaun ayega yahan koi na aya hoga

mera darwaza hawaon ne hilaya hoga

dil-e-nadan na dharak, ai dil-e-nadan na dharak

koi Khat leke parosi ke ghar aya hoga

gul se lipti hoi titli ko girakar dekho

aandhiyon tum ne drakhton ko giraya hoga

`Kaif` pardes main mat yad karo apna makan

ab ke barish main use tor giraya hoga

5. Bhale cheen lo muj se mari jawani

ye   dolat b le lo ye shuhrat b le lo

bhale cheen lo muj se mari jawani

muj ko lota do wo bachpan ka sawan

wo kagz ki kashti wo barish ka pani

mahlay ki sb se nashani purani

wo bhuria jisay bachay kehtay thay NAANI

wo naani ki baaton main parion ka deera

wo chehray ki juhrion main sadion ka pheera

bhulay nahi bhool sakta hai koi

wo choti si ratain wo lambi kahani

wo kagz ki kashti wo barish ka pani

kari dhoop main apne gher se niklana

wo chiria   wo bulbul wo titli pakrna

wo guria ki shadi pe larna jagrana

wo jholon se girna wo gir k sambhlna

wo peetal k chalon k piare se tuhfay

wo toti hoi chorion ki nashani

wo kagz ki kashti wo barish ka pani

wo reet k uonchay teelon pe jana

wo ghronday banana bana k matana

wo masoom chaht ki tasweer apni

wo khoabon khalono ki jageer apni

na dunia ka ghm na rishton k bandhan

bari khobsurat thi wo zindgani

wo kagz ki kashti wo barish ka pani.

6.

  Wo jazbon ki ek tijarat thi,ye Dil kuch aur samja tha

Usay khud se MUHABAT thi,ye Dil kuch aur samja tha

Us ne... [continues]

Read full essay

Cite This Essay

APA

(2011, 03). Waqas Ahmad. StudyMode.com. Retrieved 03, 2011, from http://www.studymode.com/essays/Waqas-Ahmad-639433.html

MLA

"Waqas Ahmad" StudyMode.com. 03 2011. 03 2011 <http://www.studymode.com/essays/Waqas-Ahmad-639433.html>.

CHICAGO

"Waqas Ahmad." StudyMode.com. 03, 2011. Accessed 03, 2011. http://www.studymode.com/essays/Waqas-Ahmad-639433.html.